Sunday, April 09, 2006

Nadi Phir Nahi Boli

nadi pehli baar tab boli thi
Jab tumhari teekhi naav
uska vaksh cheer kar
sudoor badti gayi thi
lehron ne uth uth,
Virodh darshaya - par,
tumhaare mazboot haathon mein thame,
chappu-on ne virodh nahi maana.

Tab tumhe lauh(iron) ka, vishaal
daitya sa dhardharata jahaaz
us ki chhati par utaar diya.
Tum ne khoob raunda is ki deh ko.
Lehron ke haath duhaayi mein uthe,
Tum ne nahi suna!

Phir tum ne kitne hi yudhhpot, jangi bede,
kitne hi, jaane kitne hi
is ke and ang mein basaa,
iski deh ko akhada bana diya..
Aur kroor ho kar pooochha,
"Bolo, kya bolti ho?"

Nadi nahi boli.
Nadi phir nahi boli.
nadi phir kabhi nahi boli..
-Mayamruga..

3 comments:

Silent Screamer said...

Thats a very beautiful poem... I liked it.. aise poems post karte rahiye.. :-)

How do we know said...

Hi Manish: Zaroor!! aap bas jaa kar kitaab vaalon se poochhiye ki vo Hindi kitabeing kyun nahi rakhte... :-)

How do we know said...

Ok, i just came back to this post and realised that i have only indicated Maya Mruga at the end of the post to indicate which book the poem came out of.. and someone who stole content from my blog went and posted this as Amrita Pritam poetry..
Ppl, this poem is from a collection called "Maya mruga"