Saturday, April 15, 2006

Amrita Pritam.. Concluding part

The next posts will start with some of my other favorite stuff.. personally, I prefer Amrita Pritam's prose. And here are the gems i kept in the personal diary!

Us ke hothon par ek hasrat thi, jo jami papdi ki tarah tootna chahti thi..
************
Kai logon ko to ishwar kahin rakh kar bhool jaata hai, par main khud hi apne aap ko kahin rakh kar bhool gayi hoon.. jee karta hai, koi ho jo mera apna-aap khoj kar mujhe de jaaye..
***************
Ishwar jab apna bhandara baant-ne laga tha, to na jaane mere hisse ki thaali vo mere aage rakhna bhool gaya, ya mere aage rakhi thaali ko jaldi se kisi aur ne utha liya, par main bhookhi reh gayi!
***************
Vo jab chhoti thi to us sapne bunti hui ke haathon se zindagi ne silaayi-an chheen li thi, aur us ke sapne udhar agey the.
**************
Phoolon ka tha ik kaafila, marusthal se nikla tha....
*************
Vo aur us ki umra ek saath nahi chal rahi thi.. kabhi use lagta ki vo kahin aage nikal aayi hai, aur umra bahut dheere dheere kadam badati aa rahi hai. Kabhi use lagta, ki vo vahin ki vahin khadi hai, aur us ki umra na jaane kab use chhod kar aage chali gayi...
*************
Aur badnaseeb arthon ka kya....?
(And what of the unfortunate meanings?)
*********

Mera sooraj, badlon ke mehal mein soya hua hai.
Vahaan koi khidki nahi, darwaaza bhi nai, seedi bhi nahi.
Aur sadiyon se haathon ne jo pagdandi banayi hai
Vo mere pairon ke liye bahut sankari hai..
***********

No comments: