Monday, March 06, 2006

The story so far..

I had to stop my theblogs.net blog after my password change without my intervention, and was unrecovered.. that was sad... and before this blog starts... the story so far.. more for me than for anyone else..

Omar Khayyam.. on Life and Death..
If my coming were up to me, I’d never be born And if my going were on my accord, I’d go with scorn Isn’t it better that in this world, so old and worn Never to be born, neither stay, nor be away torn? [ 15:59 ] [ Feb. 17, 2006 ]


Jo nahi hain
Unhe dekh paana
Kitna aasaan hai is se
ki hum unhe dekhein
gaur se,
jo hain....aur
jinki ore
hum kabhi dekhte nahi..

ye zaroori nahi ki
pyaar nahi hai un se
jo hain aur phir bhi nahi hain
hamari drishti mein
aksar
itna pyaar hota hai ki hum
dekhte nahi unki ore
jaise
kisi parijan ka chitra baithak mein pada pada
ankhon mein utar jaata hai
aur use
dekhne ki zaroorat nahi rehti..

mushkil hai unhein dekhna
roz nayi aankhon se
aur yaad rakna
ki chitra aur parijan mein
fark hota hai

Parijan ke chechre par
padti hain jhhurriyaan bhi

[ 01:04 ] [ Feb. 7, 2006 ]

1 comment:

Mampi said...

Wah,
Very unique thought.