This was shared at The Browsing Corner(a bunch of ppl who like reading) .. am grateful to the original poster - for the ghazal and for permission to reproduce here..
वो दे रहा है दिलासे उम्र भर के मुझे,
बिछड़ ना जाए कहीं फिर उदास कर के मुझे..
Wo de rahaa hai dilaase umr bhar ke mujhe
Bichhad na jaa'e kahi'n fir udaas kar ke mujhe
Jahaa'n na tu na teri yaad ke kadam ho'nge
Daraa rahe hai'n wahi marhale safar ke mujhe
जहां न तू, न तेरी याद के कदम होंगे,
डरा रहे हैं वही मरहले सफ़र के मुझे
Havaa-e-dasht mujhe ab to ajnabi na samajh
Ke ab to bhool ga'e raaste bhi ghar ke mujhe
हवा-इ-दश्त मुझे अब तो अजनबी न समझ,
के अब तो भूल गए रास्ते भी घर के मुझे
Dil-e-tabaah tere gham ko taalne ke liye
Sunaa rahaa hai fasaane idhar udhar ke mujhe
दिल-इ-तबाह तेरे ग़म को टालने के लिए
सुना रहा है फसाने इधर उधर के मुझे
Kuchh isliye bhi mai us'se bichhad gayaa 'Mohsin'
Wo duur duur se dekhe thahar thahar ke mujhe
कुछ इसलिए भी मैं उस से बिछड़ गया मोहसिन,
वो दूर दूर से देखे ठहर ठहर के मुझे..
The last sher was particularly nice.. a lot of relationships are lost because, at the right time, we dont go out and cover the last mile..