Friday, April 14, 2006

Amrita Pritam Contd..

This is pretty much my best loved Amrita Pritam.. from her short stories..

"Tum mujhe bhale kitni hi baar chhod kar chale jao, par jitni baar jao, us se ek baar zyaada lautna.. agar bichhadna pachaas baar to milna ikyavan baar. Yeh viyog apni baari se aata raha aur saath mein milan bhi. Ant mein milan jeetega.. ek number ke fark se... "
"Tumhara vishwaas nahi toot-ta?"
"Toot-ta hai, par phir bandh jaata hai. Vishwaaas bhale hi pachaas baar toote, par use ikyavan baar bandhna chahiye. Ek baar zyaada, bas ek baar..."

**********
Pavitrata shayad ek chhhoot ki bimaari hoti hai..
************
Mujhe lagta tha vo abhi ro padegi, par vo royi nahi. Ya phir, shayad aisa rona royi jo kisi ko dikhaayi nahi diya. Dekha! Hum auratein kaisa rona ro sakti hain! kabhi kabhi mera dil karta hai, ki main bhi zor zor se ro sakoon, aur vo bhi zor zor se ro sake.....
**************
Jo yaadein zabardasti us ke kamre mein ghus aayi thi, vo jaane ka naam hi nahi leti thi.. us ne krodhit ho kar, aur phir haath jod kar in yaadon ko chale jaane ke liye kaha, magar vo yaadein man mein na jaane kya thaan kar aayi thi... vo bade thande dil se idhar udhar tehelti hui kamre ki cheezon ko ulat palat kar aapas mein baatein karti rahi..
***************
Kabhi dukh bhi kisi ka imaan dekh kar aate hain?
***********
Tum kehti thi na, tumhara beta heere ki kani hai? Maine vahi heere ki kani kha li hai!
***************

No comments: